karen hum kis ki puja aur chadhaen kis ko chandan hum sanam hum dair hum but-khana hum but hum barahman hum dar-o-diwar hi nazron mein apni aaina-khana kya karti hain ghar baithi hi apna aap darshan hum mohabbat hai to apne se adawat hai to apne se hain aap hi dost apne hum hain aap hi apne dushman hum kab uthti hain uthae se kisi shaikh-o-barahman ke dar-e-dil-par hi apne mar kar baithe hain aasan hum jise ghaib aap samjhe hain shahadat jis ko jaane hain bina rakhi hain apni dil lagi ki ye ghar-angan hum hidayat hum se hi paida zalalat hum pe hi shaida kabhi hain rahnuma apne kabhi hain apne rahzan hum na qil-o-qal se matlab na shaghl-ashghaal se matlab muraqib apne rahte hain ka kar apni gardan hum raha karti hain pahron mahw-e-nazzara mein hum apne sarapa ho rahe hain ab to apne aap darpan hum hua ai 'faiz' malum ek muddat mein hamein thi wo japa karte the jis ke nam ki din-raat simran hum