ajib shakhs hai tewar hai baghiyana sa banae rakhta hai suli pe aashiyana sa ajib shauq hai shauq-e-visal bhi us ka gulal chehra tabassum hai fatehana sa nigah-e-naz liye khwab khwab surat hai har aadmi hai yahan gum-shuda fasana sa tasawwuraat ke but tutte bikharte hain har ek jumud pe lagta hai taziyana sa tadapti machhli ki aankhen phadak gai si hain ghazab ka sadh raha hai koi nishana sa zamana-saz qalandar hai kis khayal mein gum aur us ke zer-e-qadam hai pada zamana sa jhukae rakhti hai us ke kalam ki quwwat libas dal rakha hai phata-purana sa kisi ne maut ki parchi pe likh diya 'ulfat' ye zindagi se taaruf hai ghaebana sa