hai jamal-e-husn ka partaw sanam-khana kahin but-kada kaba kahin hai aur mai-khana kahin sidhe raste se bhatak jae na farzana kahin aa na jae aql ki baaton mein diwana kahin ye bhi koi zindagi mein zindagi hai ham-nafas dil kahin hai hum kahin hain aur jaanana kahin tabish-e-barq-e-sitam se ya ilahi jal na jae andalib-e-zar ka gulshan mein kashana kahin phir na dohrae kahin tarikh anjam-e-sitam ho na jae sabr ka labrez paimana kahin un ke daman se lipat hi jaegi bas khak-e-dil zid pe aa jae na apna josh-e-rindana kahin kaisi ujdi hai ye mahfil 'aish' hangam-e-sahar sham-e-kushta hai kahin aur khak-e-parwana kahin