ajib sham thi jab laut kar main ghar aaya koi charagh liye muntazir nazar aaya dua ko hath uthae hi the ba-waqt-e-sahar ki ek sitara mere hath par utar aaya tamam umr tere gham ki aabyari ki to shakh-e-jaan mein gul-e-taza ka samar aaya phir ek sham dar-e-dil pe dastaken jagin aur ek khwab ke hamrah nama-bar aaya gale se lag ke mere puchhne laga dariya kyun apni pyas ko sahra mein chhod kar aaya ye kis dayar ke qisse suna rahe ho 'nawed' ye kis hasin ka aaankhon mein khwab dar aaya