zat ki diwar bichon-bich ek dar wa hua aakhiri lamhon mein gar ho bhi gaya to kya hua raqs mein madhosh ghaugha-e-surud-o-lai mein gum kaun hai ye shiddat-e-azar se hansta hua teri meri aankh ki mitti hamesha nam rahe ho abad se bhi pare rukhsat ka pul phaila hua baad az yak saat khamosh matam khatm shud kyun kisi ke sog mein rukta zaman chalta hua mere shanon par rida-e-abru-e-ishq hai barish-e-namus-e-ulfat mein hai dil bhiga hua wo ruka ruk kar muda mud kar meri jaanib jhuka umr ka dariya wahin tham sa gaya bahta hua meri peshani pe daen hath ki angusht se ek khush-qamat ne apna nam hai likkha hua