ajib shor parindon ki us udan mein tha safar ke baad safar ka maza takan mein tha hawa chali jo kabhi chaunk chaunk uthta tha tamam dasht hi jaise kisi ke dhyan mein tha jo baat us ke mukhalif thi us se kah na sake ana ka ek samundar bhi darmiyan mein tha zara si baat pe jo shakhs jaan pe khel gaya khabar na thi wo bade sakht imtihan mein tha ye kya ki tu bhi hifazat na kar saka meri tujhe khabar thi ki main bhi teri aman mein tha