hans kar aansu pine wale dard batane wale log baad hamare tum dhundoge naz uthane wale log mausam badla patjhad aai panchhi ud gae shakhon se sath rahe hain sath rahenge sath nibhane wale log baat kahi kya khub kisi ne main dohrae deta hun dost nahin hote hain sare hath milane wale log dushman ke zakhmon pe marham aap lagaen badh-chadh kar jit se gar waqif ho jaen jit manane wale log sahil hai inam unhi ka jo tufan se ladte hain rizq-e-dariya ho jate hain shor machane wale log tum ne raaten so kar katin aur din bhar aaram kiya suraj chand sitare lae khak udane wale log milon chal kar aaenge tare hamari chaukhat par go hum ko pahchan na pae aaj zamane wale log