ajib tajraba aankhon ko hone wala tha baghair nind main kal raat sone wala tha tabhi wahin mujhe us ki hansi sunai padi main us ki yaad mein palken bhigone wala tha kisi badan ki sada ne bacha liya mujh ko main warna ruh ke jangal mein khone wala tha ye soch soch ke ab to hansi si aati hai shuru-e-ishq mein kitna main rone wala tha kabhi hui na mulaqat shahr se meri main jab bhi so ke utha shahr sone wala tha agar yahi hai mohabbat to hone wali thi wo milne wala tha mujh ko main khone wala tha mujhe nikal diya taziyat ke jalse se ki bas wahan main akela hi rone wala tha ye mera dida-e-tar khushk ho gaya warna mere liye bhi yahan koi rone wala tha is aaine ne usulon pe zid na ki ki warna main apne aap ke bar-aks hone wala tha kisi ne mahfil-e-duniya ki dhun badal dali zamana jab mera ham-raqs hone wala tha wahan bas ek dil khali tha aur miyan-'ehsas' na ishq un ko hua tha na hone wala tha