meri aaankhon mein aa dil mein utar paiwand-e-jaan ho ja main benam-o-nishan hun tu mera nam-o-nishan ho ja kabhi to aakhir-e-shab phul sa khil mere aangan mein kabhi mere nawah-e-jism mein khushbu-e-jaan ho ja tu mere dasht-e-harf-o-saut ko barg-e-khamoshi de tu meri aankh mein gum-gashta-e-hairat-nishan ho ja magar ye zat ka ban-bas kab tak bhogna hoga kisi parbat ke pichhe se bula, kuchh mehrban ho ja meri raaton ko qatra qatra shabnam bantne wale kabhi manind-e-dariya meri aaankhon se rawan ho ja wo dekho kahkashan sa ek jazira muntazir apna mujhe nayya bana apni tu mera baadban ho ja