ajib tarz-e-takhatub rawa hua ab ke khulus lahjon se yaksar juda hua ab ke guzashta rut ki tarah ahd mat bhula dena pukarta hai ye kamra saja hua ab ke hamein to yaad bahut aaya mausam-e-gul mein wo surkh phul sa chehra khila hua ab ke thahar, thahar ke guzarta hai zard mausam bhi hamein to jina bhi jaise saza hua ab ke na phul mahke na sabza uga na barf giri tumhaara kahna hi yaro baja hua ab ke