dosto ab tum na dekhoge ye din khatm hain hum par sitam-araiyan chun liya ek ek kanta rah ka ho mubarak ye barahna-paiyan ku-ba-ku mere junun ki azmaten us ki mahfil mein meri ruswaiyan azmat-e-suqraat-o-isa ki qasam dar ke sae mein hain daraiyan chaaragar marham bharega tu kahan ruh tak hain zakhm ki gahraiyan 'kaif' ko dagh-e-jigar bakhshe gae allah allah ye karam-farmaiyan