ajib us se bhi rishta hai kya kiya jae wo sirf khwabon mein milta hai kya kiya jae jahan jahan tere milne ka hai guman wahan na zindagi hai na rasta hai kya kiya jae ghalat nahin mujhe marne ka mashwara us ka wo mera dard samajhta hai kya kiya jae kisi pe ab kisi gham ka asar nahin hota magar ye dil hai ki dukhta hai kya kiya jae kami na ki thi tawajjoh mein aap ne lekin hamara zakhm hi gahra hai kya kiya jae wo meri jaan ka dushman sahi magar yaro mere liye wahi achchha hai kya kiya jae