phir bahaar aai hai phir josh mein sauda hoga zakhm-e-derina se phir khun tapakta hoga biti baaton ke wo nasur hare phir honge baat niklegi to phir baat ko rakhna hoga yurishen kar ke umand aaengi suni shamen lakh bhatken kisi unwan na sawera hoga ji ko samjhaenge matwali hawa ke jhonke phir koi lakh sambhaale na sambhalna hoga kaisi rut aai hawa chalti hai ji dolta hai ab to hansna bhi tadapne ka bahana hoga tut jaega ye lachaari-e-daem ka fusun aur is tarah ki jaise koi aata hoga dil dhadakne ki sada aaegi sune-pan mein dur baadal kahin parbat pe garajta hoga