ajnabi dil ki ajab tarz-e-bayan thi pahle lab thi taswir nigahon mein zaban thi pahle hum ne ta-subh jalae hain wafaon ke charagh tere kucha mein bhi qadar-e-dil-o-jaan thi pahle aaj har gam pe zanjir hai har baat pe dar itni maqbul kahin umr-e-rawan thi pahle dair-o-kaba se nikal aae to aaram mila hum ko bhi ek khalish-e-sud-o-ziyan thi pahle husn-e-yusuf ko mili khidmat-e-zindan 'saifi' be-gunahi bhi badi aafat-e-jaan thi pahle