ajnabi musafir ko rasta dikhaega

ajnabi musafir ko rasta dikhaega
kaun apni chaukhat par ab diya jalaega

jitni neamaten hongi khub dat ke khaega
phir hamein qanaat ka wo sabaq padhaega

pahle aane wale hi lut le gae sab mal
baad mein jo aaega khali hath jaega

pet hai agar khali phir kahan ki khuddari
bhuk jab sataegi khud ko bech khaega

sab ki apni rahen hain sab ki apni samten hain
kaun aise aalam mein karwan banega

jis ki umr guzri ho reshmi shabistan mein
kya wo hanpte din ki dastan sunaega

aaina sifat logo yun raho na parde mein
warna kaun duniya ko aaina dikhaega

hum jo mil ke aapas mein raushni lutaenge
main bhi jagmagaunga tu bhi jagmagaega

phir wo dega khush-khabari hum ko par utarne ki
phir nadi mein kaghaz ki naw wo bahaega

meri jad bhi katega waqt par pas-e-parda
wo meri himayat mein hath bhi uthaega

mahfilen faqiron ki boriye pe sajti hain
bargah-e-shahi ko kaun munh lagaega

afsaron ke khadim sab jut gae safai mein
'mahir' apni basti mein aaj kaun aaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close