kab ashk-e-shab-e-hijr samundar na hua tha han qatra-e-naisan abhi gauhar na hua tha pur-nur hua khana-e-dil un ke qadam se is se kabhi pahle ye munawwar na hua tha zulfen to sanwarti hi rahin barha lekin aaina kabhi rukh ke barabar na hua tha ham-zad ki surat rahi ta-umr asiri us se jo raha hona muqaddar na hua tha milna tha na milta hai sukun dahr mein mujh ko hasil wo hua ab jo mayassar na hua tha milti hi kahan chhanw mujhe wadi-e-gham mein saya bhi mera qad ke barabar na hua tha dawa-e-sukhan karna to ek baat hai 'mahir' ab tak koi shair tera ham-sar na hua tha