akasr apne dar-pae-azar ho jate hain hum sochte hain is qadar bimar ho jate hain hum muztarib thahre so shab mein der se aati hai nind subh se pahle magar bedar ho jate hain hum nam ki khwahish hamein karti hai sargarm-e-amal is amal se bhi magar bezar ho jate hain hum jhuta wada bhi agar karti hai malne ka khushi waqt se pahle bahut tayyar ho jate hain hum bhul kar wo bakhsh de gar raushni ki ek kiran daimi shohrat ke dawedar ho jate hain hum mutmain hona bhi apne be-khabar hone se hai be-sukun hote hain jab hushiyar ho jate hain hum ek zara si baat aur phir ashk thamte hi nahin lahr si ek dil mein aur sarshaar ho jate hain hum