baat ima-o-ishaaraat se badhi aap hi aap us ki qurbat mein bahalne laga ji aap hi aap taza kaliyon ke tabassum ka sabab kya hoga aaya karti hai jawani mein hansi aap hi aap zard hathon pe mohabbat ki lahu rang-e-hina waqt aaya to rachi aur rachi aap hi aap bas ki rakkha tha makan muddaton tum ne khali is mein bad-ruh koi basne lagi aap hi aap rakh bante wahi chehra nahin dekha jata jis ke shoale ki kabhi dhum machi aap hi aap bint-e-hawwa kisi chehre se na dhoka khae kenchuli sanp badalta hai nai aap hi aap kash aisa bhi ho qimat na ada karni pade aur mil jae mujhe koi khushi aap hi aap