akela ghar hai kyon rahte ho kya deti hain diwaren

akela ghar hai kyon rahte ho kya deti hain diwaren
yahan to hansne walon ko rula deti hain diwaren

inhen bhi apni tanhai ka jab ehsas hota hai
to gahri nind se mujh ko jaga deti hain diwaren

bujhe mazi ka khilte haal se rishta ajab dekha
khandar khamosh hain lekin sada deti hain diwaren

hawa ke zakhm sah kar barishon ki chot kha kha kar
chhaton ko rauzanon ko aasra deti hain diwaren

rahun ghar mein to mere sar pe chadar tan deti hain
safar par jab nikalta hun dua deti hain diwaren

jo chalna hi na chahe rok lete hain use zarre
bagulon ko safar mein rasta deti hain diwaren

wo sari guftugu jo band kamron hi mein hoti hai
main jab bahar se aata hun suna deti hain diwaren

utarti aur chadhti dhup ki pahchan hai in ko
abhi din kitna baqi hai bata deti hain diwaren

'matin' is chilchilati dhup mein saya inhi se hai
main jab bhi tutta hun hausla deti hain diwaren


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close