dil jala phir charagh jalte hi

dil jala phir charagh jalte hi
apne dukh bhi hain sham jaise hi

kitne chehre utar gae dekho
dhup diwar se utarte hi

mausamon ka pata chala mujh ko
rang diwar ka badalte hi

hum ne dariya mein rasta paya
ek tera nam le ke chalte hi

zindagi kitni khubsurat hai
han magar sans ke ukhadte hi

'mir' ki yaad aa gai hum ko
subh karte hi sham karte hi

ek zinda misal thi na rahi
hae us aadmi ke marte hi

tutna apne dil ka yaad aaya
aaina tut kar bikharte hi

tera lahja 'matin' aisa hai
phul jhadte hain baat karte hi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close