akela hun magar aabaad hun main qafas mein hi sahi aazad hun main mujhe dil mein liye wo ghumta hai ki us ki an-kahi fariyaad hun main ye duniya maqtalon se kam kahan hai sabhi ke qatl se nashad hun main mere sine pe kis ke naqsh-e-pa hain ye kis ki zat se barbaad hun main zamana shauq se sunta hai mujh ko zamane se judi rudad hun main qatar-e-marg mein hun sochta hun ki kis se pahle kis ke baad hun main