be-laus-o-rawadar tumhaari hi tarah ho dushman bhi mere yar tumhaari hi tarah ho main hath se phir zahr bhi kha lunga tumhaare gar wo bhi asar-dar tumhaari hi tarah ho jaan hans ke luta dunga magar mujh mein jo utre khwahish hai wo talwar tumhaari hi tarah ho lo phul meri qabr ki khatir to rahe dhyan har phul ki mahkar tumhaari hi tarah ho 'afrang' zamane mein zaruri to nahin hai har shakhs ka kirdar tumhaari hi tarah ho