akele-pan ki aziyyat se ru-shanas rahe asir log hamesha hi bad-hawas rahe wo khud mile na mile par talab to ho us ki kuan rahe na rahe par hamari pyas rahe kisi ke waste qatra sharab bhi na rahi kisi ke waste ashkon-bhare gilas rahe wo chahta hai bichhad kar bhi khush dikhai dun wo chahta hai ki murda badan pe mas rahe kisi bhi dil se koi rahguzar na ho yani har ek ghar ke dariche mein sabz ghas rahe ab is se badh ke bhala iztirab kya hoga ki shan pir ko sun ke bhi dil udas rahe kisan hain so dupatton ki khair mangte hain ki un ke sadqe zaminon mein kuchh kapas rahe ghazal ka kya hai tawaif ye phir suna lena sharab la ki yahin par ye dewdas rahe hum us ke dil mein mohabbat nahin jaga pae mazid kaise bataen ki kitne khas rahe