akele rahne ki khud hi saza qubul ki hai ye hum ne ishq kiya hai ya koi bhul ki hai khayal aaya hai ab rasta badal lenge abhi talak to bahut zindagi fuzul ki hai khuda kare ki ye pauda zamin ka ho jae ki aarzu mere aangan ko ek phul ki hai na jaane kaun sa lamha mere qarar ka hai na jaane kaun si saat tere husul ki hai na jaane kaun sa chehra meri kitab ka hai na jaane kaun si surat tere nuzul ki hai jinhen khayal ho aankhon ka laut jaen wo ab is ke baad hukumat safar mein dhul ki hai ye shohraten hamein yunhi nahin mili hain 'shakil' ghazal ne hum se bhi bahut wasul ki hai