apni hasti ko mita dun tere jaisa ho jaun is tarah chahun tujhe main tera hissa ho jaun paelen bandh ke barish ki karun raqs-e-junun tu ghata ban ke baras aur main sahra ho jaun dur tak thahra hua jhil ka pani hun main teri parchhain jo pad jae to dariya ho jaun shahr-dar-shahr mere ishq ki naubat baje main jahan jaun tere nam se ruswa ho jaun aadmi ban ke bahut main ne tujhe sajde kiye to khuda ban ke mujhe mil main farishta ho jaun is tarah mil ki bichhadne ka tasawwur na rahe is tarah mang mujhe tu ki main tera ho jaun itna bimar ki sanson se dhuan uthta hai aa tujhe dekh lun aur dekh ke achchha ho jaun