akeli raat thi chaaron taraf andhera tha aur ek ped se mera hi hath nikla tha ajib dhun thi ki badhte hi ja rahe the qadam har ek taraf se mujhe aandhiyon ne ghera tha nazar to aae the hum ko bhi panw uthte hue phir is ke baad bahut dur tak andhera tha bikhar rahe the andhere hamare sar pe magar ufuq se ta-ba-ufuq chandni ka dera tha mere khayal mein aa kar nikal gaya wo rang jo aasman pe hara aur zamin pe nila tha sabhi ki ungliyan utthi thin bas meri jaanib na jaane main ne ye kis ka libas pahna tha chamak rahe the sitare jahan-jahan 'ajmal' wahin wahin pe zara aasman gahra tha