hamari rah se palkon ko aashna rakhna kabhi hum aaen to khwabon ka dar khula rakhna hamesha milne milane se wasta rakhna kiya hai pyar to jari ye silsila rakhna qarib aa ke zamana fareb deta hai jo ho sake to zamane se fasla rakhna nahin hai koi haqiqat-pasand duniya mein kabhi kisi ke muqabil na aaina rakhna wo khat jo likhte ho tum mere nam khalwat mein mera amal hai use padhna chumna rakhna safar mein hun mujhe takhir ho bhi sakti hai sataen hijr ke lamhe to hausla rakhna 'nasim' ho gae apne hi jab ki begane to aarzu-e-wafa bhi kisi se kya rakhna