'akhtar' ko to riye mein bhi hai aar kya kare baitha hua hai der se be-kar kya kare yak hujum-e-dard aur aur e tamam dil zer par lagae hai minqar kya kare tarikh ki rahi hai ki mitta nahin hai zulm mukhtar-e-kul bata tera sansar kya kare khinche hai sab ko dast-e-fana ek sa to phir ek sada-lauh kare yahan ayyar kya kare koi nahin hai mujh ko hunar rozgar ka juz khaksar midhat-e-sarkar kya kare jo sari kaenat ki fitrat ka ho amin har tajarbe ka jo ho kharidar kya kare ji muztarib hai hiddat-e-qil-o-maqal mein dhunde hai koi saya-e-diwar kya kare shahron mein meri khak ade misl-e-bu-e-gul be-shama hai khalq-e-tarah-dar kya kare maula madad ki main hun azadar-e-al-e-u aaqa tere baghair gunahgar kya kare