aaj bhi dasht-e-bala mein nahr par pahra raha kitni sadiyon baad main aaya magar pyasa raha kya faza-e-subh-e-khandan kya sawad-e-sham-e-gham jis taraf dekha kiya main der tak hansta raha ek sulagta aashiyan aur bijliyon ki anjuman puchhta kis se ki mere ghar mein kya tha kya raha zindagi kya ek sannata tha pichhli raat ka shamen gul hoti rahin dil se dhuan uthta raha qafile phulon ke guzre is taraf se bhi magar dil ka ek gosha jo suna tha bahut suna raha teri in hansti hui aankhon se nisbat thi jise meri palkon par wo aansu umr bhar thahra raha ab lahu ban kar meri aankhon se bah jaane ko hai han wahi dil jo harif-e-joshish-e-dariya raha kis ko fursat thi ki 'akhtar' dekhta meri taraf main jahan jis bazm mein jab tak raha tanha raha