aks aaina-khana se alag rakkha hai wahshat-e-zat ko sahra se alag rakkha hai khud ko main khud se bhi milne nahin deta hargiz apni duniya ko bhi duniya se alag rakkha hai main kahan saat-e-imroz mein rahne wala main ne har roz ko farda se alag rakkha hai do mahazon pe abhi marka-arai hai khema-e-sabr ko dajla se alag rakkha hai khushk mashkiza-e-hulqum ki nigarani mein pyas ke khitte ko dariya se alag rakkha hai wo to kahta hai teri zat mein zam hun lekin us ne bhi khud ko bas ek la se alag rakkha hai kitna aasan hai ye jada-e-dushwar bhi ab apna har naqsh kaf-e-pa se alag rakkha hai main 'yagana' ka taraf-dar nahin hun 'shahid' is liye mir ko mirza se alag rakkha hai