chand bhi bujha dala dil dukhane walon ne kuchh utha nahin rakkha dil dukhane walon ne hum ne khastagi pai dil-giraftagi pai khair hum se kya paya dil dukhane walon ne khub waza-dari hai zakhm-e-taza se pahle hum se haal-e-dil puchha dil dukhane walon ne be-qarar hain aankhen kaise ab lahu roen khushk kar diya dariya dil dukhane walon ne sach kaha sada dil ko dil se rah hoti hai khub hum ko pahchana dil dukhane walon ne un ki wajh-e-shohrat to talkh guftugu hi thi kyun badal liya lahja dil dukhane walon ne