aks agar khub-tar nahin lagta aaina mo'atabar nahin lagta aap ko dekhna zaruri hai aap ko dekh kar nahin lagta hai ajab kashmakash kidhar jaen rasta mukhtasar nahin lagta hum ne ashkon se dosti kar li ab samundar se dar nahin lagta hath sine pe rakh ke dekha hai dil abhi dar-ba-dar nahin lagta main bhi maujud hun kahani mein aksar-o-beshtar nahin lagta chashm-e-rahzan mein rahne walon ki khak par ho basar nahin lagta