hamare hath mein KHanjar nahin the

hamare hath mein khanjar nahin the
kisi bhi waqt hum kayer nahin the

har ek gham se shanasa ho gae hain
kabhi hum ranj ke khugar nahin the

wo kitne khush the be-chhat ki zamin par
sabab ye hai ki un ke ghar nahin the

wo baaten kar rahe the aasman ki
wo jin ke bazuon mein par nahin the

unhen thi fikr nahaq apne sar ki
mere to hath mein patthar nahin the

hui thi sher se tamhid pahle
wo sab naqqal the shair nahin the

use dekhen palat kar phir dobara
teri galiyon mein wo manzar nahin the

jo chalte the hamare sath 'asghar'
zara aage the wo rahbar nahin the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close