aks bhi kab shab-e-hijran ka tamashai hai ek main aap hun ya gosha-e-tanhai hai dil to rukta hai agar band-e-qaba baz na ho chaak karta hun gareban ko to ruswai hai taqat-e-zabt kahan ab to jigar jalta hai aah sine se nikal lab pe mere aai hai main to wo hun ki mere lakh kharidar hain ab lek is dil se dhadakta hun ki saudai hai dil-e-betab 'fughan' ummat-e-ayyub nahin na use sabr hai hargiz na shakebai hai