kahan sabaat-e-gham-e-dil kahan sarab-e-sukun

kahan sabaat-e-gham-e-dil kahan sarab-e-sukun
wo khush-nasib hai mil jae jis ko soz-e-darun

khud aap dekh len kya haal dil zaban se kahun
abhi to hain meri aankhon mein chand qatra-e-khun

ye shahr-e-ham-nafasan kitni bar ujda hai
kabhi na ho saka lekin sar-e-hayat nigun

abhi to maslahat-e-waqt hi pe nazan hai
abhi khirad ko mayassar kahan maqam-e-junun

nigah nichi kiye munfail se baithe hain
ab un se shikwa-e-bedad kis zaban se karun

nikhaar aa hi gaya khushk khushk chehron par
mila to girya-e-shabnam se kuchh gulon ko sukun

dar-asl hai meri hasti ki kaenat 'ejaz'
wo ek nigah jise zindagi ka raaz kahun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close