aks ghatte badhte hain shishagari hai ek si soch ke adse juda hain raushni hai ek si zindagi karte hain insan mukhtalif andaz mein go ki sab ki dastaras mein zindagi hai ek si doston aur dushmanon mein kis tarah tafriq ho doston aur dushmanon ki be-rukhi hai ek si soch ka mafluj hona sanehe se kam nahin an-ginat shaer hain lekin shaeri hai ek si sab dilon mein ja-guzin hain gham ke qisse ek se sab jabinon par raqam be-raunaqi hai ek si 'jaan' ye sabit hua hai tajrabe ki aanch par dushmani hai sau tarah ki dosti hai ek si