khayal-o-khwab se ghar kab talak sajaen hum hai ji mein ab to ki ji khud se bhi uthaen hum ajib wahshaten hisse mein apne aai hain ki tere ghar bhi pahunch kar sakun na paen hum anis-e-jaan to hain ye khush-qadan chinar magar adaen teri unhen kis tarah sikhaen hum wo ghar to jal bhi chuka jis mein tum hi tum the kabhi ab us ki rakh se duniya nai basaen hum suna rahe hain dukhon ki kahaniyan kab se bas ab to dhyan ki naddi mein dub jaen hum har ek samt pahadon ka silsila hai yahan hamara haal hai kya ye kise sunaen hum