aks hai be-tabiyon ka dil ki armanon mein kyun be-zaban shamil hue jate hain mehmanon mein kyun ho gae diwane rukhsat bastiyon ki samt kya chha gain viraniyan si phir bayabanon mein kyun dil ki us be-raunaqi ka zikr jaane dijiye ho rahi hain bastiyan tabdil viranon mein kyun hai raqabat juzw-e-lazim mehr-o-ulfat ka agar ijtimai ishq phir hota hai parwanon mein kyun kya kisi kutiya ke andar jag uthi hai zindagi khalbali si pad gai mahlon mein aiwanon mein kyun bikh-kun the jo sitam-ranon ke kal tak ai nadim ho raha hai ab shumar un ka sitam-ranon mein kyun amn ke khwahan hain jab 'afsar' jahan wale tamam kashmakash rahti hai phir itni jahan-banon mein kyun