dil se nikli hui har aah ki tasir mein aa mang le rab se mujhe aur meri taqdir mein aa rabta mujh se dil-o-jaan ka agar rakhna hai mujh se wabasta kisi halqa-e-zanjir mein aa main banata hun takhayyul ke qalam se paikar meri tahrir mere dard ki taswir mein aa ye bhi mumkin hai kasafat hi dilon ki dhul jae meri aankhon se jo bahta hai isi nir mein aa dhal na jae kahin ye husn-e-sukhan ai 'anwar' dil ye kahta hai ki is zulf-e-girah-gir mein aa