aks hairan hai aaina kaun hai wo hai khushbu to phir phul sa kaun hai dil se nikle ho palkon pe dam lo zara ho musafir tumhein rokta kaun hai ek samundar ne khud ko jazira kiya kya hua kyun hua puchhta kaun hai ghair-abaad hai wo gali wo makan us dariche se phir jhankta kaun hai zindagi hadse ke siwa kuchh nahin hadse par magar sochta kaun hai zindagi mein agar hain andhere 'salim' teri ghazlon mein phir chand sa kaun hai