ishq se ishq ke anjam ki baaten hongi subh tak aap ki phir sham se baaten hongi dur manzil hai hawaen bhi mukhalif si hain do ghadi baitho to aaram se baaten hongi jis tarah hoti hai rindon ki kharabaat se baat is tarah gardish-e-ayyam se baaten hongi saqiya ab to inayat ki nazar ho jae kab talak mujh se tahi-jam ki baaten hongi naz karte hain agar apne khad-o-khal pe ye aap ke husn ki asnam se baaten hongi inqalab aae to phir himmat-e-mardan ki qasam waqt ki waqt ke ahkaam se baaten hongi aao kuchh hausla-e-dil se bhi len kaam ai 'nur' kab tak ab hasrat-e-nakaam se baaten hongi