aks har roz kisi gham ka pada karta hai dil wo aaina ki chup-chap taka karta hai bahte pani ki tarah dard ki bhi shakl nahin jab bhi milta hai naya rup hua karta hai main to bahrup hun us ka jo hai mere andar wo koi aur hai jo mujh mein jiya karta hai rang sa roz bikhar jata hai diwaron par kuchh diye jaisa dariche mein jala karta hai jaane wo kaun hai jo raat ke sannate mein kabhi rota hai kabhi khud pe hinsa karta hai roz rahon se guzarta hai sadaon ka julus dil ka sannata magar roz badha karta hai