anokhi waza hai sare zamane se nirale hain ye aashiq kaun si basti ke ya-rab rahne wale hain ilaj-e-dard mein bhi dard ki lazzat pe marta hun jo the chhaalon mein kante nok-e-sozan se nikale hain phala-phula rahe ya-rab chaman meri umidon ka jigar ka khun de de kar ye bute main ne pale hain rulati hai mujhe raaton ko khamoshi sitaron ki nirala ishq hai mera nirale mere nale hain na puchho mujh se lazzat khanaman-barbaad rahne ki nasheman saikdon main ne bana kar phunk dale hain nahin beganagi achchhi rafiq-e-rah-e-manzil se thahar ja ai sharar hum bhi to aakhir mitne wale hain umid-e-hur ne sab kuchh sikha rakkha hai waiz ko ye hazrat dekhne mein sidhe-sadhe bhole bhaale hain mere ashaar ai 'iqbaal' kyun pyare na hon mujh ko mere tute hue dil ke ye dard-angez nale hain