aks har tarah ke khush ho ke hamein pine hain hum bhi diwaron pe latke hue aaine hain tairti kai ke tukde ye sada dete the chaak nadiyon ke gareban hamein sine hain kha gai un ko bhi aakhir mere mahaul ki dhup jalti shakhon se bhi kuchh sae agar chhine hain sidhiyan dil ke taqazon ki chadhoge kab tak jin ka aakhir nahin hai ye wahi zine hain kya khabar thi ki ujale nahin denge 'nudrat' wo sitare jo andheron ke liye chhine hain