fasana-e-dard-e-ishq unwan badal badal kar suna raha hun jigar jigar mein utar raha hun nazar nazar mein sama raha hun harim-e-naz-o-niyaz mein kya, maze mohabbat ke pa raha hun fasana-e-aish sun raha hun fasana-e-gham suna raha hun tumhaari mashq-e-jafa ke sadqe buland hain dil ke hausle bhi jahan jahan chot pad rahi hai wahan wahan muskura raha hun siraat-e-husn-e-talab mein mujh ko andheri raaton ka gham nahin hai teri mohabbat ki raushni mein qadam main apna badha raha hun yaqin mano ki bijliyan bhi falak se aa kar panah lengi chaman mein sulh-o-safa ke tinkon se aashiyana bana raha hun falak ke daman pe chand tare nahin darakhshan to kya 'nujumi' hazaron arman ka khun de kar main shab ko rangin bana raha hun