aks kya dida-e-tar mein dekha hum ne dariya ko bhanwar mein dekha sar-e-manzil koi manzil na mili ek safar aur safar mein dekha nazar aaya kabhi bazar mein ghar kabhi rasta koi ghar mein dekha surakh-ru jang se laut aaya tha khun mein lat-pat jise ghar mein dekha jaane kab aa ke yahan baithe the apna saya bhi shajar mein dekha ab bhi chipka hai meri aankhon mein jo dhuan shama sahar mein dekha aag kis des lagi hai ab ke phir dhuan apne nagar mein dekha ek hi jast mein hum ne 'hamdam' fasla dasht se dar mein dekha