bujhai aag to raushan hua dhuan sa kuchh hamare hath mein aaya hai raegan sa kuchh qadam qadam pe dhadakta hai dil umidon ka qadam qadam pe hai dar-pesh imtihan sa kuchh kahin pe naqs mile aur koi baat bane wo dhundte hain mere sud mein ziyan sa kuchh wahi to ban gaya bais girani-e-jaan ka rakha tha ghar mein kahin par jo khanuman sa kuchh ab us ke baad mukammal hai dastan-e-hunar idhar-udhar mein bithaya hai darmiyan sa kuchh koi sarab nahin hai ye meri khush-nazari jo dasht mein nazar aata hai gulistan sa kuchh hamare nam wo mansub ho gaya kyun kar zamin pe tut pada tha jo aasman sa kuchh ab us ki shahr mein tashhir kyun karen ja kar hua hai ganw mein apne jo na-gahan sa kuchh