aks mahbub ka aaya jo nazar pani mein yun laga jaise utar aaya qamar pani mein ghol kar zahr wo dete hain agar pani mein aur badhta hai mohabbat ka asar pani mein roz pani pe banata hun main us ki taswir aate hain zist ke aasar nazar pani mein aisa manzil ke qarin tut ke barsa baadal aakhirash dub gai rahguzar pani mein mere ashkon se na daman tera jal jae kahin sunta aaya hun ki hota hai sharar pani mein umr bhar yunhi main tufan-e-bala se khela sham pani mein kati aur sahar pani mein harf aa jaega tum par bhi yaqinan lahro dub kar mar gaya diwana agar pani mein kyon na pi lun ise chhu kar ye tere lab aaya ho gaya hoga tere lab ka asar pani mein mujh ko sab rok rahe the sar-e-sahil 'hairat' main to karta hi raha apna safar pani mein