yaad us mah-e-KHubi ki jab hijr ki raat aai

yaad us mah-e-khubi ki jab hijr ki raat aai
aankhon mein meri us dam ashkon ki baraat aai

dil ishq ki lazzat se aagah hua jab se
jaise tan-e-murda mein ek taza hayat aai

tha dil mein irada to shikwon ka shikayat ka
jab samne wo aae honton pe na baat aai

talkhi-e-kalam us ki aashiq ki samaat tak
shirini-o-lazzat mein manind-e-sabaat aai

is khak mein milne ko khud khak hua aakhir
khak us ke qadam ki jab diwane ke hath aai

is tabish-e-jalwa se nazren jo huin khira
phir samne aankhon ke pahli si qanat aai

khalwat hai shab-e-gham ki aur mashq-e-tasawwur hai
tum se gale milne ki phir aaj ye raat aai

mail-ba-karam us ko paya jo 'faza' ek din
jo dil mein thi muddat se honton pe wo baat aai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close