aks par yun aankh dali jaegi samne ki chot khali jaegi ye qayamat bhi nikali jaegi us gali se kha ke gali jaegi kabe mein botal khule mauqa kahan zamzami se aaj dhaali jaegi gul to kya hain ta-qafas ai baad-e-tund patta patta dali dali jaegi bazm-e-saqi mein agar laghzish hui hath se mai ki pyali jaegi gudgudane ko kaf-e-pa dil ke sath aarzu-e-paemali jaegi wa dar-e-tauba hai to jaldi hai kya baat bigdi kuchh bana li jaegi murda koi aarzu is dil mein hai kah gae wo jaan dali jaegi mai-kade hum ghar se jaenge 'riyaz' ek botal sath khali jaegi